Veer-Zaara Lyrics
Song : Do Pal
Music : The Late Madan Mohan Lyrics : Javed Akhtar Singers : Lata Mangeshkar, Sonu Nigam
Do
Pal Ruka Khwabon Ka Karvan Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahan Hum Kahaan Do Pal Ki Thi Yeh Dilon Ki Daastaan Aur Phir
Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan … (2)
Tum The Ke Thi Koi Ujli Kiran Tum The Yaa Koi Kali Muskayi Thi Tum
The Yaa Sapnon Kaa Thaa Saavan Tum The Ke Khushiyon Ki Ghataa Chaayehe Thi Tum The Ke Thaa Koi Phool Khilaa Tum
The Yaa Milaa Thaa Mujhe Nayaa Jahaan Do Pal Rukaa Khwabon Kaa Kaarvaan Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan
Do Pal Ki Thi Yeh Dilon Ki Daastaan Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan … (2)
Tum The Yaa Khushboo
Hawaon Mein Thi Tum The Yaa Rang Saari Dishaaon Mein The Tum The Yaa Roshni Raahon Mein Thi Tum The Yaa Geet Goonje
Fizaaon Mein The Tum The Mile Yaa Mili Thi Manzilein Tum The Ke Thaa Jaadoo Bharaa Koi Samaa Do Pal Rukaa Khwabon
Kaa Kaarvaan Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan Do Pal Ki Thi Yeh Dilon Ki Daastaan Aur Phir Chal Diyeh
Tum Kahaan Hum Kahaan Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan … (2)
---------------------------------------------------------------------
Song : Tere Liye Music : The Late Madan Mohan Lyrics
: Javed Akhtar Singers : Lata Mangeshkar, Roop Kumar Rathod
Tere Liye Hum Hain Jiyeh, Honthon Ko
Siye Tere Liye Hum Hain Jiyeh, Har Aansoo Piye Dil Mein Magar Jalte Rahe, Chaahat Ke Diye Tere Liye, Tere Liye
Tere Liye Hum Hain Jiye, Har Aansoo Piye Tere Liyeh Hum Hain Jiye, Honthon Ko Siye Dil Mein Magar Jalte Rahe,
Chahat Ke Diye Tere Liye, Tere Liye
Zindagi Le Ke Aayehe Hai Beete Din Ki Kitaab(2) Ghere Hain Ab Humein Yaadein
Be-Hisab Bin Poochhe Mile Mujhe Kitne Sare Jawab Chaha Tha Kya, Paya Hai Kya, Humne Dekhiye Dil Mein Magar Jalte
Rahe, Chaahat Ke Diye Tere Liye, Tere Liye
Kya Kahoon Duniyaa Ne Kiya, Mujh Se Kaisa Bair(2) Hukm Tha..? Main
Jiyun Lekin Tere Baghair Naadaan Hai Woh Kahte Hain Jo Mere Liyeh Tum Ho Ghair Kitne Sitam Humpe Sanam Logon Ne Kiye
Dil Mein Magar Jalte Rahe, Chahat Ke Diye Tere Liye, Tere Liye
Tere Liye…Chahat Ke Diye Tere Liye,
Tere Liye...(4)
---------------------------------------------------------------------
Song : Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Music : The Late Madan Mohan Lyrics : Javed Akhtar Singers
: Lata Mangeshkar, Udit Narayan
Lahraati Hui Raahein, Khole Hue Hain Baanhein Yeh Hum Aa Gaye
Hain Kahaan Palkon Pe Gahre Halke, Hai Reshmi Dhundhlake Ke Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…(2)
Woh
Dekho Zara Parbaton Pe Ghataayehin Humaari Daastaan Hole Se Sunaayeh Suno To Zara Yeh Phoolon Ki Vaadi Humaari
Hi Koi Kahaani Hai Sunaati Sapnon Ke Is Nagar Mein Yaadon Ki Rahguzar Mein Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…(2)
Jo Raahon Mein Hai Rut Ne Sona Bikheraa Sunehraa Hua Tera Mera Savera Zamin So Gayi Baraf Ki Chaadron Mein
Bas Ek Aag Si Jalti Hai Do Dilon Mein Havaayehin Sansanaayehin Badan Kaanp Jaayehin Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan…(2)
Yeh Barsaat Bhi Kab Thume Kaun Jaane Tumhein Mil Gaye Pyaar Ke Sau Bahaane Sitaaron Ki Hai Jaise Barat Aayi
Humaare Liyeh Raat Yun Dagmagayi Sapne Bhi Jhilmilaayehin Dil Mein Diyeh Jalaayehin Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan
Haan Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan… (2)
---------------------------------------------------------------------
Song : Kyon Hawa Music : The Late Madan Mohan Lyrics :
Javed Akhtar Singers : Lata Mangeshkar, Sonu Nigam, Commentary By Yash Chopra
Ek Din Jab Savere
Savere Surmayee Se Andher Ki Chaadar Hataa Ke Ek Parbat Ke Takiye Se Sooraj Ne Sar Jo Uthaayaa To Dekhaa Dil
Ki Waadi Mein Chaahat Kaa Mausam Hai Aur Yaadon Ki Daaliyon Par Anginat Beete Lamhon Ki Kaliyaan Mahakne Lagi Hain
Ankahi Ansuni Aarzoo Aadhi Soyee Huyee Aadhi Jaagi Huyee Aankhein Maltey Huey Dekhti Hai Lahar Dar Lahar,
Mauj Dar Mauj Bahti Huyee Zindagi Jaise Har Ek Pal Nayee Hai Aur Phir Bhi Wahi Hai Haan Wahi Zindagi Jiske
Daaman Mein Koi Mohabbat Bhi Hai Koi Hasrat Bhi Hai Paas Aanaa Bhi Hai Door Jaanaa Bhi Hai Aur Yeh Ahsaas
Hai Waqt Jharne Saa Bahtaa Huaa Jaa Rahaa Hai Ye Kahtaa Huaa Dil Ki Vaadi Mein Chaahat Kaa Mausam Hai Aur Yaadon
Ki Daaliyon Par Anginat Beete Lamahon Ki Kaliyaan Mahakne Lagi Hain
Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai…(2) Kyon
Fiza Rang Chhalka Rahi Hai Mere Dil Bata Aaj Hona Hai Kya Chaandni Din Mein Kyun Chha Rahi Hai Zindagi Kis Taraf
Ja Rahi Hai Mere Dil Bata Kya Hai Ye Silsila Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai, Ga Rahi Hai, Ga Rahi Hai
(
Jahan Tak Bhi Jayein Nigahein Baraste Hain Jaise Ujale )…(2) Saji Aaj Kyun Hain Ye Raahein Khile Phool Kyun
Hain Nirale Khushbuein Kaisi Ye Bah Rahi Hain Dhadkanein Jane Kya Kah Rahi Hai Mere Dil Bata Ye Kahani Hai Kya
Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai, Ga Rahi Hai, Ga Rahi Hai
( Yeh Kiska Hai Chehra Jise Main Har Ek Phool
Mein Dekhta Hoon )… (2) Yeh Kiski Hai Aawaz Jisko Na Sun Ke Bhi Main Sun Raha Hoon Kaisi Ye Aahtein Aa Rahi
Hain Kaise Ye Khwab Dikhla Rahi Hain Mere Dil Bata Kaun Hai Aa Raha Kyon Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai Ga Rahi
Hai, Ga Rahi Hai
------------------------------------------------------------------
|