jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho ai jaan-e-jahaa.N ye
ko_ii tum saa hai ke tum ho
ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai ye dhundh hai baadal hai ke
saayaa hai ke tum ho
is diid kii sa_aat me.n ka_ii rang hai.n larazaa.N mai.n huu.N ke ko_ii aur hai duniyaa hai
ke tum ho
dekho ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii dekhuu.N ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho
ye
umr-e-gurezaa.N kahii.n Thahare to ye jaanuu.N har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho
har bazm me.n
mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho
ik dard kaa phailaa huaa saharaa
hai ke mai.n huu.N ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho
vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche is
shahar me.n tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho
aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal ye rasm abhii shahar
me.n zindaa hai ke tum ho
ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai
ke tum ho !
|
|