*~* Izhar-e-Muhabbat *~*

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too
roka hota,

bay niazi say, magar kanptey awaz k sath, Tu
nay gabhra k mera naam na pocha hota,

younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi, Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na
aaya hota,

Hosla tujh ko na tha mujh say juda
honay ka, Warna kajol teri ankhon ka na phela hota

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too
roka hota,

Meri har aik shab taza azab main guzree
Tumharay baadh tumharay he khawab main guzri
Main aik phool thi jisay woh rakh ker bhool gaya
Phir tamam umr usee ke kitab main guzri.

Javairia
   
     
| | | |
|